"The powerful play goes on , and you may contribute a verse" ~ N.H.Kleinbaum( Dead Poets Society) I am here to contribute my verse!
Tuesday, April 30, 2013
A Daughter's note to her Hero.
Bejaan is dil ko dhadhkann di aap ne,
Tutlaati is zubaan ko awaaz di aap ne,
Sehmein mere kadmon ko ,
chalna sikhaaya aapne aur jo thak ke haar gaye kadam toh aaghosh mein bhar liya aap ne.
Haanth thaam mera , jeena sikhaaya aapne ,
jab chalak uthein ashq mere, toh poonch unhein hansna bhi sikhaaya aap ne.
Tiflana si mere khwaahishon ko udaan diya aap ne ,
bhool ghalatiyan saari gehwaare mein choom liya aapne.
Unsuni is kahaani ko aagaaz diya aapne ,
kal tak toh main kuch na thi , mere aaj ko ek naam diya aapne.
Zindagi ke zakhm jab hare ban tadpaate the ,
tab raahat ki saans liye aap marham ban aate the.
Jab raakh ho uthte the umeed ke saare diye,
tab us raakh mein dabi si aag bane aap sulag kar aate the.
Khud takleefein jhel saari mere chehre pe kabhi ek shikan na diya,
bhool apna wajood , meri har chhoti-badi zidd ko aapne hi poora kiya..
yun kehne ko toh tamaan baatein hain par bayan kar sakooun main ,aise kai alfaaz nahin....
Mera wajood hai aapse ,
Mera sab kuch hi hai aap se ....
Azal se toh main ek kora kagaz thi ,
aur aaj main jo khud mein ek kitaab hoon ,woh bhi aap se.
Sunday, April 21, 2013
Waqt kya kehta hai..
Waqt Ka bhi ajab hisaab hai,
Kabhi Kat ta nahin toh kabhi tham ta nahin,
Par waqt hameshan hi badalta hai, jo aaj hai, is pal hai,
Woh Kal kahan yun rehta hai ...
Waqt toh mano jharnon sa,
baha ja raha hai yeh kehta hua,
baha ja raha hai yeh kehta hua,
Ki rok lo us lamhe ko,
jo abhi tumhaara hai,samaet lo us apne ko jo be baank awaara
hai, daaman se baandh lo use tum, sarak ke yun jaane na do,
jo abhi tumhaara hai,samaet lo us apne ko jo be baank awaara
hai, daaman se baandh lo use tum, sarak ke yun jaane na do,
baahon mein kas lo aaj usse,
yun toot ke bikhar jaane na do,
yun toot ke bikhar jaane na do,
saanson mein basa lo is quadar
ki saans tumhaari toh dhadhkan uski ho,
ki saans tumhaari toh dhadhkan uski ho,
kar lo quaid aankhon mein yun ki
jo khwaab tumhaare, toh nazar uski ho,
jo khwaab tumhaare, toh nazar uski ho,
pighal jaao ek doosre mein yun
ki Koi faaslein na rahein,
ki Koi faaslein na rahein,
fanaa ho jaao ek doosre mein yun
ki silsilein aur koi baaki na rahein...
ki silsilein aur koi baaki na rahein...
Jab tere baare mein sochti hoon..
Tere baare mein jab sochti hoon toh Khud ke aur kareeb aa jaati hoon,
Tu ghair sahi par apna sa mujhe kuch lagta hai,
Tu ghair sahi par apna sa mujhe kuch lagta hai,
Tu haqueekat sahi par sapna sa mujhe kuch lagta hai,
Tu soch meri, tu armaan mera,
Tu dhundhla dhundhla sa khwaab mera,
Tu Kal bhi tha aur aaj bhi hai, tu har pal mere saath bhi hai,
Tu rooh ki tarah mujhmein samaaya hai, tera aks mera hum saaya hai,
Aankhon ki talaash bhi tu,sukooun bhi tu,
Uljhi suljhi har soch bhi tu,aagaaz bhi tu, anjaam bhi tu...
Haanthon mein chalakta jaam sa tu,
Madham madham si shaam sa tu,
Sehmi si meri zindagi mein, tu udaan meri pehchaan meri,
Be matlab si is kahaani mein, tu dhoop meri tu chaauvn meri,
Jab aaine mein Khud ko dekhti hoon, toh Khud ki jagah tujhe paati hoon,
aur mujhmein tujhe dekh, kuch darr seham si jaati hoon,
Mera toh mujhmein kuch raha hi nahin,
Tu Koi aur hi sahi par Kyun anjaana nahin,Kyun tujhko Khud mein paati hoon,
Kyun bin tere, main taras si jaati hoon,Tujhe to ilm bhi nahin ki main jab bhi tere baare mein sochti hoon, toh Khud ke aur Kareeb aa jaati hoon...
Kya ho tum..
Tumhaare se Kya ghila karooun,
shikaayatein karooun bhi toh Kya karooun.
Khamoshi Ka aalam tumhein raas nahin,
aas ho meri par ,paas nahin.
Tum se din hotein hain aur tum se hi raatein,
aur matlab, be matlab ki, bachkaani har baatein...
hoton ki hansi bhi tum se hi aur aankhon ki nammi bhi tum se hi,
dil ki har khwahish bhi tum se hi aur zindagi ki har Kami bhi tum se hi..
door sahi par dil ke paas ho tum,
shayad Isiliye kuch khaas ho tum.
Tanhaan raatoon ki soch ho tum,
hazaaron ki hujoom mein jo yaad aaye woh shaks ho tum.
Kaise bayaan karooun ki dil ab tak jo na sun saka tha,
woh aawaaz ho tum.
Par har kisi ko kahan muquammal jahan milta hai,
jab par katarne ki jurrat rakhte ho tum,
toh udaan bharne ki khwaahish, main karooun bhi toh Kaise...
Ek dost aisa bhi tha..
Hazaaron ki bheed mein har insaan tanhaa hai,
kitne thokar khaaye par dil aaj bhi nadaan hai...
Aaj bhi ghum mera humsaaya hai,
lo aaj phir dil ro aaya hai, Aaj bhi roshni chubhti hai,
dil ke kisi kone se ek aah nikalti hai.
Badi aasaani se woh keh gaye ki hum samajh nahin paaye,
kis zubaan se bayan karooun ki hum khamosh Kya seh gaye...
Yun toh tanha si thi zindagi par ab zyaada tanha lagegi,
sab kuch toh hoga bas ek aap ki kami khalegi.
Hum toh ghum ke aashiq hain,
humein toh ghum ki latt hai.
Ek ajab sa sukooun hai is dard mein ek ajab sa nasha hai iski chubhan mein..
Phir bhi ae dost, dua karte hain ki ghum se tera koi naata na ho,
jo ghum ki fiza chale to rukh badal dena meri taraf aur samjh lena ki jaise tum ne mujhe choo liya...
Subscribe to:
Posts (Atom)






