Bejaan is dil ko dhadhkann di aap ne,
Tutlaati is zubaan ko awaaz di aap ne,
Sehmein mere kadmon ko ,
chalna sikhaaya aapne aur jo thak ke haar gaye kadam toh aaghosh mein bhar liya aap ne.
Haanth thaam mera , jeena sikhaaya aapne ,
jab chalak uthein ashq mere, toh poonch unhein hansna bhi sikhaaya aap ne.
Tiflana si mere khwaahishon ko udaan diya aap ne ,
bhool ghalatiyan saari gehwaare mein choom liya aapne.
Unsuni is kahaani ko aagaaz diya aapne ,
kal tak toh main kuch na thi , mere aaj ko ek naam diya aapne.
Zindagi ke zakhm jab hare ban tadpaate the ,
tab raahat ki saans liye aap marham ban aate the.
Jab raakh ho uthte the umeed ke saare diye,
tab us raakh mein dabi si aag bane aap sulag kar aate the.
Khud takleefein jhel saari mere chehre pe kabhi ek shikan na diya,
bhool apna wajood , meri har chhoti-badi zidd ko aapne hi poora kiya..
yun kehne ko toh tamaan baatein hain par bayan kar sakooun main ,aise kai alfaaz nahin....
Mera wajood hai aapse ,
Mera sab kuch hi hai aap se ....
Azal se toh main ek kora kagaz thi ,
aur aaj main jo khud mein ek kitaab hoon ,woh bhi aap se.
A very Happy Birthday to your dad. :)
ReplyDeleteAaawwwwwww !!!! Thank you. I will make sure he reads this. :)
Delete