Lambi tanha raaton mein jab yaad ban aate ho tum ,
yun hi karwat badal badal kuch khud mein ro lete hain hum.
Ba dastoor,khayaalon me, jo dastak de uthte ho tum,
tumhein khaabon mein tassavur kar , kuch phir se jee lete hain hum.
Jab din ki roshni mein, kuch dhundhla se jaate ho tum ,
tasveer tumhaari seene se laga, thoda sisak lete hain hum.
Har kamre se tumhaari khusboo aati hai ,
har lamha mujhe woh chhed jaati hai .
Un kamron mein baith kabhi,
dil halka kar lete hain hum.
Jab ban hansi goonjh uthte ho tum,
sath tumhaare muskura kar khud mein khush ho lete hain hum.
Is khaalipan mein bhi saath har pal hote ho tum,
aur isi baat pe thoda khud mein sanwar lete hain hum.
Har haseen raat tumhaara jaadu jaga jaati hai ,
har unkahi baat mujhe raundhti tadpa jaati hai.
Aaine mein , meri har din ki mulaquaat ho tum ,
mere mausam , mere din raat ho tum.
Paas ho itna phir bhi kitne door ho tum,
kal tak toh mere apne the ,aaj jaane kaun ho tum.
Waqt ne kiya humpe, yeh kaisa haseen sitam,
saath ho kar bhi jo paas nahin, woh shaqs nikle tum.
Dard hai Kyun itna dil me Daba sa ...
ReplyDeleteMr. Shamim, the pain, like any other emotions, demands to be felt!
Delete